TheRodinhoods

I poem!!???? for me????

This is what Gurpreet wrote and recited and recited at the Rodinhooders Delhi Mixer yesterday:

What can I say??

Just makes everything so so worth it!!

From: Gurpreet Singh <gurujee13@gmail.com>
Date: Fri, Feb 24, 2012 at 1:34 PM
Subject: Poem for “The Rodinhood”
To: alok@games2win.com

Aaj 23 frvri ki hai woh shaam, Jab Hum delhi ke rodinhooders ne chalkaye hai jaam. 

Hamare sang hai sitaro ka sitara, woh jo hai har jan pyara,
Woh jisne kaiyo ko taara,
Woh jiski kalam main hai jadoo ka lashkara,
Woh jiski muskurahat dekh kar sharmaye har tara.

Woh jisko dekhkar ham sabne bahut seekha hai,
Woh jisko khud nahi pata ki woh kitno ka masiha hai.

Us sitaro ke sitare ka naam hai Alok Kejriwal, hamesha laal rehte hai uske gaal!!

Pata nahi kitni hi kitabo ka hai uske mastiksh main gyan, Roz subah lagata hai Babajee main apna dhyaan!!

Aaj hum hai khushnaseeb, ki hum hai unke kareeb!!

Kuch na kahe hue bhi usne humko bahut kuch seekha diyaa, ab tak thhe hum uske deewane, aur aaj usne humko apna premi bhi bana liya.

Yehi chahenge ki fir hum sab yuhi milte rahe, in Entrepreneurs ki kaum ko braate chale.

Khud ke liye kamaye, hum Naam, Shohrat, Daulat AAAur duniye main is “Khud kaam karne” ke keerre ko  baant’te chale.

Yeh shaam kabhi na bhooli jayegi, reh reh kar humko yaad ayegi, ab to us ghari ka intezaar rahega, jab agli baari  dilli ki mehfil ka rang “fir” jamega.
—  

Thanks & Regards

Gurpreet Singh Tikku

Retail & Real Estate Consultant
Mob: +91 98 10 66 85 85
www.infinityrealestate.co.in
Level 4, Augusta Point,
Golf Course Road, Gurgaon, India

And this is the VIDEO of the event!!! (courtesy Aditya Singh)