Mujhe yaad Hai wo Bachpan Ke Yadein,
Jab School ke Chuttiyo me aksar hoti the bus aapki he batein.
Aapne hame Hasna Sikhlaya, Aaapne Hame Cartoon ka matlab samjhaya,
Bachpan beet gaya Chacha Chaudhary, Billu,Pinku, Raman aur Shrimatji se
Jawani tak aapne kya khoob sikhaya,Gudgudaya, Gyan batlaya.
Raddi ke dukano pe jab hum aapke Comics dhoodte the,
Raddiwale ko 2roopye ke jagah 5 roopye dete the
Wo baat hame khoob achi lagti the, sabse yahi kehte
Wah! Wah! Aaj ye comics padhkar khoob maza aa gaya.
Railway Platform par jab Chacha Chaudry ko dhoodte,
Aksar School ke kitabo ke jagah aapke comics he padhte.
Wo Chacha Chaudahry ka Computer wala Deemag,
Wo Jupiter waala Sabu aur kahin door Jwalamukhi ka phatna.
Wo Billu ke Samjhadaari aur Pinky ka Chulbulapan,
Bachpan beet gaya, par yadein aaj bhi taaza hai
PRAN saab aapke Comics me jo maza tha, wo TV Channels me kaha.
Aapka yu achanak chale jaana, dil hai ke manta he nahin.
Aapki yadein, aapki wo gudgudati meethi batein,
Hum sab ko hamesha yaad rahegi.
PRAN SAAB AAP HAME BAHUT YAAD AAOGE.
Image source – chachachaudhary.com
Vinay Sarda
Thumbs up!
Mukesh Dube
Thank You So Much Sunil ji… whenever we read pran saheb’c comics, we always feel the character, story, dialogues everything. Childhood memories 🙂 awesome 🙂